27/05/2021

Story shared by Mustafa Khan(Ex-FCSA JNV Barnala)

 

Story shared by Mustafa Khan (Ex-FCSA JNV Barnala) 


Hum hamesha use salute krte hai jo humse badi post post pr ho ya jiske pas humse jayda paisa ho, pr aise logo ko bhi appreciate kro jo aapki sath direct ya indirect lge rehte hai .

 Aise hi the apne Punjab k  Navodaya school k SERA veera. Jis thand bhari raato me  hum room me 3-4 blankets k sath bed 🛌 se nikalte bhi ni the aisi 0 degree ki sard raato me ye log school me pehra de kar duty krte the,wo bhi sirf ek chadar k saman kambal se apne aap ko cover kiye tha. Mere kaha veere esse odd kr thand bach jati hai kya ?? (Kyoki me khud inner sweater jacket cap shoes sab pehan k bhi thand mehshoosh kr rha tha.)  to bole ni ji ek or hai blanket to mene kaha use bhi odd lo to wo bola k ni ji abhi ese pehan k 1-2 hr. Duty krege jb ye osh k karan gila ho jayega tb use odenge. Kyoki rat bhar pehra dena hai sir ji . Me ek min. K liye socked ho gya k kitni mehnat hoti hai en logo ki sirf 8-10 hajar rs. K liye. (Contract ) . Bola Rat ko duty kr leta hu or dophar me agr ni soya or kuchh thoda bahut kam mil gya to use kr leta hu, Bola sir Waheguru ki kripa hai ghar chal jata hai bs. Eswar pr vishwash or apni mehnat pr bharose ki kahani me live sun rha tha. To aj ek salam *SERA* Veere ko  jinhone 5-10 min. Me bahut kuchh indirectly mujhe sikhaya. 

Hum hamesha unke bare me padte hai jo bade rich hai ya famous hai ya Paise wale hai , jbki sach to ye hai hum chahe to ek chiti se bhi sikh le sakte hai, chahe to apne aas pas k logo se bhi sikh sakte hai. Bs nazariya rakhiye sikhne ka. Or ha akhiri bat safalta ki defination ye ni hai k aapne kitne paise kamaye, balki ye hai k aap apne kal se aj kitna aage hai or aap khud apne kaamo se kitne santushth hai .

Aap sabhi logo k sath bhi bahut kuchh sikhne ko mila esliye ek thanks aap sabhi ko . 😊

#EX_FCSA

*MUSTAFA KHAN*




11/05/2021

Mothers day 2021

 

 MOTHER'S DAY 2021 


click on the link below to view student's participation......



CELEBRATION BY STUDENTS